Jazim Sharma

Kya Kahein.

Lyrics

Kya Kahein Lyrics Penned by
Saaveri Verma

Dil to dil hai dil ki hum kya kahein
Kya kahein kya kahein dil ki hum kya kahein

Mar mita hai ye bechara tere chehre pe sau dafa
Jis nazar se tune dekha us nazar ko kya kahein

Kehne ko to kya kami hai
dar deewarein chhat yahaan
Sab hain aur tum na ho to
Aise ghar ko kya kahein
Kya kahein kya kahein dil ki hum kya kahein
Dil to dil hai dil ki hum kya kahein