Intezaar mein main aise din guzaarun
Tu laaut aa main tujhko mere naam se pukaarun
Khud se juda hun main khud se khafa hun
Tu jo nahi hai to phir main kya hun
Kaise bhula dun main wo saari baatein
Sang tere jo jee chuka hun
Tujhko is tarah jaane dun kaise main
Intezaar mein …………
Itna akela hun yun tanha hun
Bin sitaaron ka main aasmaan hun
Tu likh rahi thi jo badi hasraton se
Main adhuri si wo daastan hun
Kin ummeedon pe jee raha hun jaane kyun
Intezaaar mein ……..