Tum Samajh Sake na dard mera
Na dard bhare alfaazo’n ko
Kitni jaldi maan gaye – 2
Duniye ke reet – riwaajo’n ko
Tum samajh ………
Maine apne chaubare se tumko bohut pukara tha
Tum ghaflat mein choor rahe
suna nahin aawaazo’n ko
Ab kuch bhi kehna mushkil hai
Par kehna kitna saara tha
Chhupa rakha hai dil mein maine
Jaane kitne raazo’n ko