Jazim Sharma

Insaan Me Haiwaan.

Lyrics

Insaan Me Haiwaan Lyrics Penned by
Nida Fazli

insaan Mein Haiwaan Yahaan bhi hai wahaan bhi
Allah Nigehbaan Yahaan Bhi Hai wahaan bhi

Khoonkhaar darindon ke faqat naam alag hain
Har shehar Biyaabaa’n yahaan bhi hai wahaan bhi

Hindu bhi maze mein hai musalman bhi maze mein
Insaan pareshaan hai yahaan bhi wahaan bhi

Rehmaan ki rehmat ke bhagwaan ki murat
Har khel ka maidaan yahaan bhi hai wahaan bhi

Uthta hai dil- o- jaa’n se dhua’n dono taraf hi
Ye meer ka deewan yahaan bhi hai wahaan bhi