Humko kiske gham ne maara ye kahaani phir sahi
Kisne toda dil hamara ye kahani phir sahi
Dil ke lutne ka sabab pucho na sabke saamne
Naam aayega tumhara ye kahani phir sahi
Nafraton ke teer khakar doston ke sheher mein
Humne kis kis ko pukaara ye kahaani phir sahi
Kya batayein pyaar ki bazi wafa ki raah mein
Kaun jeeta kaun haara ye kahaani phir sahi