Jazim Sharma

Hum Apni Masti Mein.

Lyrics

Hum Apni Masti Mein Lyrics Penned by
Milind Gadhavi

Hum Apni Masti mein gaaya karte hain
Duniya wale aaya jaaya karte hain

Jab bhi unki yaadein milne aati hain
Aansu apna dharam nibhaya karte hain

Jaane kyun hum tez hawaaon par aksar
Likh kar tera Naam mitaaya karte hain

Tanhaayi pass aakar baitha karti hai
Hum bhi usko sher ka sunaya karte hain