Jazim Sharma

Haq.

Lyrics

Haq Lyrics Penned by
J.P Gangwar

Tujh par mera haq na tha
Tu meri jaaydad nahin
Phir bhi teri yaadon se
Main ho paaya aazaad nahin

 

Sookh gaya ik Darakht chaman mein
Sabko laga ye patjhad hai
Waqt bhi saara beet gaya
Ab ho sakta abaad nahin

 

Saara aalam dekh raha hai
Manzar meri tabaahi ka
Tune himmat karli hoti
Main hota barbaad nahin

 

Bataa saka na kabhi tujhe main
Apne is dil ki haalat
Tere liye hi dhadka tha
Phir dhadka tere baad nahin