insaan Mein Haiwaan Yahaan bhi hai wahaan bhi
Allah Nigehbaan Yahaan Bhi Hai wahaan bhi
Khoonkhaar darindon ke faqat naam alag hain
Har shehar Biyaabaa’n yahaan bhi hai wahaan bhi
Hindu bhi maze mein hai musalman bhi maze mein
Insaan pareshaan hai yahaan bhi wahaan bhi
Rehmaan ki rehmat ke bhagwaan ki murat
Har khel ka maidaan yahaan bhi hai wahaan bhi
Uthta hai dil- o- jaa’n se dhua’n dono taraf hi
Ye meer ka deewan yahaan bhi hai wahaan bhi