Nazdeekiyon mein door ka manzar talaash kar
Jo haath mein nahin hai wo pathar talaash kar
Rehta nahin kuch bhi yahaan ek sa sadaa
Darwaza ghar ka kholke phir ghar talaash kar
Suraj ke ird gird bhatakne se faayda
Dariyaa hua jo gum to samandar talaash kar
Koshish bhi kar ummeed bhi rakh raasta bhi chun
Phir uske baad thoda muqaddar talaash kar