Jazim Sharma

Kya Kiya Jaaye.

Lyrics

Kya Kiya Jaaye Lyrics Penned by
Tasneem Jowhar

Ajeeb shehar ka manzar hai kya kiya jaaye
Ghutan Hawa ka Muqaddar Hai Kya Kiya Jaaye

 

Tamaam sheesha badan hai yahaan nishane par
Harek haath mein pathar hai kya kiya jaaye

 

Main wo nadi hun jise raasta nahin milta
Zara si door samandar hai kya kiya jaaye