Ban Gaye Dil Ke Fasane Kya Kya
Khul Gaye Raaz Na Jane Kya Kya
Kaun tha mere Alaawa Uska
Usne dhundhe the thikaane kya kya
Rehmat – E – Ishq Ne Bakshe Mujhko
Uski yaadon ke Khazaane Kya Kya
Dil ne to dil hi ki maani “Meeta”
Akl deti rahi Taane Kya Kya